Beqarari shayari, status, quotes -बेक़रारी पर शायरी इन हिंदी-apnishayeri
Bekarari shayari ,बेकरारी शायरी
Hello dosto mai ne aj beqarari par post likhi hai. Jisko pyar hota hai to dil me beqarari na ho aisa ho hi nahi sakta. Kahte hain dil ko dil se raah hoti hai to yeh baat bilkul sach hai .mahboob ne apne mahboob ko yaad kiya to dil apne aap dhadak uthta hai aur dil me ajeeb si beqarari hojati hai jisko lafzo me byan karna mushkil hoga. Lekin phir bhi mai ne kuch beqarari par shayari ko ikatha karke iss collection me main ne likh diya hai ummeed hai apko bahut pasand ayegi hamari yeh beqarari par shayari, pyar me beqarari shayari, beqarari shayari in hindi, beqarari shayari for gf, beqarari shayari for bf, beqarari shayari for whatsapp status, etc
Bekarari shayari in hindi ,बेकरारी शायरी इन हिंदी
![]() |
| Beqarari-shayari |
बेक़रारी देखी है तो मेरा ज़ब्त देखो,
इतना चुप रहूँगा की चींख उठोगे तुम।
beqarari dekhi hai to mera zabt dekho,
itna chup rahunga ki cheenkh uthoge tum.
Bekarari shayari image ,बेकरारी शायरी इमेज
मोहब्बत करो तो अदाब ए वफ़ा भी सीखो,
फा़रिग वक़्त की बेक़रारी मुहब्बत नहीं होती।
muhabbat karo to adaab e wafa bhi seekho,
farig waqt ki beqarari muhabbat nahi hoti.
Dil ki beqarari shayari ,दिल की बेक़रारी शायरी
![]() |
| Beqarari-shayari, Beqarari-shayari-in-hindi |
मुझे समझाया ना करो की अब तो हो चुका मुझको
मुहब्बत मशविरा होती तो तुमसे पूछकर करते।
mujhe samjhaya na karo ki ab to ho chuki mujhko
muhabbt mashwira hoti to tumse pooch kar karte.
Beqarari shayari in hindi ,बेक़रारी शायरी इन हिंदी
इतना बेक़रार ना हो मुझसे बिछड़ने के लिए,
तुमहें नज़रों से नहीं दिल से जुदा करना है।
itna beqarar na ho mujhse bichadne ke liye,
tum nazro se nahi dil se juda karna hai.
मासूम बेकरारी शायरी
मासूम बेक़रारी है मेरे खमीर में,
उड़ती है मेरी खाक उडा़ता नहीं हूं मैं।
maasoom beqarari hai mere khameer me,
udti hai meri khaak udata nahi hun mai.
मिलने की तड़प शायरी
नींद और तुम कहां पर रहते हो,
दोनो ही रात भर नहीं आते।
nind aur tum kahan pe rahte ho,
dono hi raat bhar nahi ate.
दिल का चैन शायरी
दिल में दर्द है आंखो में बेक़रारी है,
हमको लगी है इश्क की अजीब बेमारी है।
dil me dard hai aankho me beqarari hai,
hamko lagi ishq ki ajeeb beemari hai.
बेताबी शायरी
आहट पे कान,दर्द पे नज़र दिल में इज़तराब,
कुछ इस तरह की बेक़रारी है तेरे इंतजा़र की।
ahat pe kaan, dard pe nazar dil me izteraab,
kuch iss tarah ki beqarari hai tere intezaar ki.
खुमारी पर शायरी
बेक़रारी ही बेक़रारी है,
जो गुजा़री ना जा सके हमसे,
हमने वो जिंदगी गुजा़री है।
beqarari si beqarari hai,
jo guzaari na ja sake hamse,
hamne wo zindagi guzaari hai.
दिल की तड़प शायरी हिंदी तस्वीरें
बेक़रारी भी मेरी देखती है, अब हमारा सबर भी देखना,
इतना खामोश हो जाएंगे के खुद रो पड़ोगे।
beqarari bhi meri dekhli hai, ab hamara sabr bhi dekhna,
itna khamosh ho jayenge ke khud ro padoge .
In post ko bhi padhiye👇
बेताबी शायरी
![]() |
| Beqarari-shayari |
कुछ पल का साथ दे कर तुमने,
पल पल के लिए बेक़रार कर दिया।
kuch pal ka sath de kar tumne,
pal pal ke liye beqarar kar diya.
Pyar me bekarari shayari
वो अचानक नहीं बिछड़ा,
बड़े दिनो से थी बेक़रारी उसे।
wo achanak nahi bichada,
bade dino se thi beqarari usko.
Bekarari love shayari
शाम ए तनहाई में इज़ाफ़ा बेक़रारी,
एक तेरा ख्याल न जाना दूसरा तेरा जवाब ना आना।
sham e tanhai me izafa beqarari,
ek tera khyal na jana doosra tera jawab na ana.
Bekarari shayari image download
मेरी बेक़रारी मुझे ऐन इबादत सी लगती है,
मेरे इश्क पे है ईमान मेरे सुल्तान पिया।
meri beqarari mujhe ain ibadat si lagti hai,
mere ishq pe hai imaan mere sultan piya.
Bekarari shayari sms
ये बेचैनी, ये बस्कूनी, ये बेक़रारी,
जब तू मेरा नहीं है तो ये दर्द मेरा क्यों है।
yeh bechaini, yeh beskooni, yeh beqarari,
jab tu mera nahi hai to yeh dard mera kyu hai.
Bekarari quotes
दिल की बेक़रार उमंगो पे करम फ़रमा
इतना रुक रुक के चलोगी तो कयामत होगी।
dil ki beqarar umango pe karam farma,
itna ruk ruk ke chalogi to qyamat hogi.
Bekarari quotes in hindi
मुनासिब समझो तो सिर्फ इतना बता दो,
दिल बेकरार बहुत है कहीं तुम उदास तो नहीं हो।
munasib samjho to sirf itna bata do,
dil beqarar bahut hai kahin tum udaas to nahi ho.
बहुत दिनो के बाद मिलने की शायरी
बड़ी तलब है तेरे दीदार की मेरी बेक़रार निगाहों को,
किसी शाम चले आओ आंखो में रातो का ख्वाब बन कर।
badi talab hai tere deedar ki meri beqarar nigaho ko,
kisi shaam chale aao aankho me rato ka khwab ban kar.
Bekarari shayari for whatsapp status
उदासी, शाम, कसक यादो की बेक़रारी,
मुझे सब सौंप कर सूरज उतर जाता है पानी में।
udaasi ,shaam, kasak yado ki beqarari,
mujhe sab saunp kar suraj utar jata hai pani me.
Bekarari shayari for bf
उफ्फ दिल बेक़रार की ये तमन्ना तो देखो,
क्या होता जो हम भी पहलु ए यार में सोते।
uff dil beqarar ki yeh tamanna to dekho,
kya hota jo ham bhi pahlu e yaar me sote.
Bekarari shayari for gf
समझ लिया फरेब से मुझे तो आपने,
दिल से तो पूछ लीजिये बेक़रार क्यों है।
samajh liya fareb se mujhko to aapne,
dil se to pooch lijiye beqarar kyu hai.
Latest Bekarari quotes
दिल आज फिर बेक़रार है,
और आंख भी अशकबार है,
हर आहट पर चौंक उठता हूं,
अभी तक उनका इंतजा़र है।
dil aj phir beqaraar hai,
aur aankh bhi ashakbaar hai,
har ahat par chaunk uthta hun,
abhi tak unka Intezar hai.
Bekarari shayari
इतनी कोशिश तो हो निगाह ए शौक में शाकी,
इधर दिल में ख्याल आऐ उधर वो बेक़रार हो जाए।
itni kashish to ho nigah e shauq me shaaki,
idhar dil me khyal aye udhar wo beqarar ho jaye.
Yaad ki bekarari shaYari
आपकी याद दिल को बेक़रार करती है,
नज़र तलाश आपको बार बार करती है,
गिला नहीं जो आप जुदा हैं हम से,
आपकी तो जुदाई भी हम से प्यार करती है।
aapki yaad dil ko beqarar karti hai,
nazar talash apko bar bar karti hai,
gila nahi jo aap juda hain ham se,
apki to judai bhi hamse pyar karti hai.
Dil ki beqarari quotes
![]() |
| Beqarari-shayari, Beqarari-shayari-in-hindi |
अऐ दिल ए बेक़रार चुप होजा,
जा चुकी है बहार चुप होजा,
छुट जाती है फूल से खुशबू,
रूठ जाते हैं यार चुप हो जा।
aye dil e beqarar chup hoja,
jaa chuki hai bahaar chup hoja,
choot jaati hai phool se khushboo,
ruth jate hain yaar chup hoja.
Dil ki Bekarari quotes
नज़र नज़र बेक़रार सी है, नफ़स नफ़स में शरार सा है,
मैं जनता हूं तुम ना आओगे, फिर भी कुछ इंतजा़र सा है,
nazar nazar beqarar si hai, nafas nafas me sharar sa hai,
mai janta hun tum na aoge, phir bhi kuch intzaar sa hai,
Pyar me bekarari quotes
बेक़रार कर देता है हर एक ख्याल तेरा,
एक तू है जिसको ना आता है ख्याल मेरा।
beqarar kar deta hai har ek khyal tera,
ek tu hai jisko na ata hai khyal mera.
Bekarari quotes hindi image
आंसु नहीं है आंख में लेकिन तेरे बगैर,
तूफ़ान छुपे हुए हैं दिल बेक़रार सा है।
aansu nahi hain aankh me lekin tere begair,
tufan chupe hue hain dil beqarar sa hai.
Bekarari quotes in English
क़रार दे कर कभी बेक़रार करते हो,
गले लगा कर कहो कितना प्यार करते हो।
qaraar de kar kabhi bekarar karte ho,
gale laga kar kaho kitna pyar karte ho.
Bekarari quotes in hindi
तुम से मिलने को बेक़रार था दिल,
तुम से मिल कर भी दिल बेक़रार रहा।
tum se milne ko beqarar tha dil,
tum se mil kar bhi dil beqarar raha.
![]() |
| Beqarari-shayari, Beqarari-shayari-in-hindi |
गुजर तो जाएगी तेरे बगैर भी लेकिन,
बहुत उदास, बहुत बेक़रार गुज़रेगी।
guzar to jayegi tere bagair bhi lekin,
bahut udaas ,bahut beqarar guzregi..
Mai ne is post me beqarari par shayari likhi apne poori padh li hogi, ummeed hai apko bahut pasand ayi hogi agar apko hamari post achi lagti hai to please is post ko aage share karen apne gf bf ya ap jiske liye beqarar hote hain unko zaroor share karen. Aur agar aapke paas koi beqarari par shayari hai to mujhe comment me zaroor batayen.
















टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें