chahat par shayari - चाहत शायरी हिन्दी में -chahat quotes - chahat shayari by asfi

chahat poetry - चाहत शायरी

chahat-shayari

 पूरी दुनिया की चाहत से किनारा करके,

 मै ने रख्खा है सिरफ अपने आप को तुम्हारा करके।

 puri duniyan ki chahat se kinaara karke,

maine rakha hai sirf apne ap ko tumhara karke.

☆☆☆☆☆☆

Unki chaht shayari

उनकी चाहत की वफा में हम कुछ है तरह क़ैद हैं, 

की वो मेरे पास भी नहीं है और हम तनहा भी नहीं हैं।

unki chaahat ki wafa me ham kuch is tarah qaid hain,

ki wo mere paas bhi nahi hain,

aur ham tanha bhi nahi hain.

☆☆☆☆☆☆☆☆

मेरी चाहत की इंतहा देखना है तो मेरे दिल से अपने दिल को लगा कर देख,

 तेरे दिल के साथ ये दिल न धड़के तो साजा-ए-मौत दे देना।

meri chaahat ki inteha dekhni hai to mere dil se apne dil ko laga kar dekh,

tere dil ke sath yeh dil na dhadke to saza-e-maut de dena.

☆☆☆☆☆☆☆

Teri chahat shayari 

chahat-shayari

मुझ को तेरी चाहत पे यक़ीन भी बहुत है,

 और तुझसे दूर हो जाने का खौफ भी नहीं जाता।

mujhko ko teri chaahat pe yakeen bhi bahut hai,

aur tujhse dur ho jane ka khauf bhi nahi jata.

☆☆☆☆☆☆☆

chahat quotes

किसी के साथ आप अगर उम्र भर रहना चाहते हो तो

 उस से थोड़ा फासिला रखो।

kisi ke sath ap agar umr bhar rahna chahte ho 

to uss se thoda fasila rakho.

☆☆☆☆☆☆☆

Chahat shayari in hindi 

मेरे बाद नहीं आएगा उसे चाहत का ऐसा मजा,

 वो लोगों से कहेगा मुझे चाहो उसकी तरह।

mere baad nahi ayega usse chaahat ka aisa maza,

wo logon se kahega mujhe chaaho uski tarah.

☆☆☆☆☆☆☆

dono ka ajab tha aye dost

chahat-shayari

सिलसिला चाहत का दोनो का अजब था ऐ दोस्त, 

वो मेरी जान चाहता था और मैं उसे जान से ज्यादा।

silsila chaahat ka dono ka ajab tha aye dost,

wo meri jaan chaahta tha aur mai ussko jaan se zeyada.

☆☆☆☆☆☆

कैसे बतायें जज्बात ये मेरे,

 मैं खुद से ज्यादा तुम्हें चाहता हूं।

kaise bataun jazbaat yeh mere,

mai khud se zeyada tumko chaahta hun.

☆☆☆☆☆☆☆

कोई जुर्म नहीं प्यार जो दुनियां (आलम) में छुपाएं,

 हम ने तुम्हें चाहा है महफिल में कहेंगे।

kuch jurm nahi pyar jo duniyaan me chhupaayen ,

ham ne tumhen chaaha hai mahfil me kahenge.

☆☆☆☆☆☆☆

मैं चाहत की इस मंजिल पर आ पहूँचा हूं, 

की कोई तेरी जानिब देखे मुझे अच्छा नहीं लगता।

mai chaahat ki iss manzil par aa pahuncha hun,

ki koi teri jaanib dekhe mujhe achha nahi lagta.

☆☆☆☆☆☆☆☆

chahat shayari in hindi

पता तो बहुत है उसे मेरी चाहत का, 

वो बेक़रार इस लिए करता है की मैं और पहले से ज्यादा चाहुं उसे।

pata to bahut hai usko meri chaahat ka,

wo beqara iss liye karta hai ki mai pahle se zyada chaahun usko.

☆☆☆☆☆☆☆☆

chahat-shayari

tere naam ka sadqa

मुझ से जो कोई मांगे तेरे नाम का सदका, 

मैं अपने आप को दे दूं तेरे सर से वार कर।

mujh se jo koi maange tere naam ka sadqa ,

mai apne ap ko de doon tere sar se waar kar,

☆☆☆☆☆☆

जो तू नहीं है तो ये मुकम्मल ना हो सकेगी, 

तेरा यही रोल है मेरी जिंदगी की कहानी में।

jo tu nahi hai to yeh mukammal na ho sakegi,

tera yahi role hai meri zindagi ki kahaniyo me.

☆☆☆☆☆☆☆☆

is qadar tut kar chaho

ना तुम्हें खबर रहे, न मुझे होश रहे,

 इस क़दर टूट कर चाहो की मुझे दीवाना करदो।

na tumhen khabar rahe ,

na mujhe hosh rahe,

is qadar tut kar chaho ,

ki mujhe deewana kardo.

☆☆☆☆☆☆☆

In posts ko bhi padh kar enjoy karen. 

Maa par shayari

Papa par shayari

Beti par shayari

Bhai bahen shayari


Dosto kaisa lagi apko chahat par shayari, agar apko chahat shayari pasand ayi hai to apne premi ya mahboob ko zaroor share kren aur agar apke paas bhi koi muhabbat bhari shayari hai to mujhe comment me batao yaar.

टिप्पणियाँ